Friday, June 12, 2009

Dil ki aarzu

dil ki arzoo ab keh rahi hai
dharkan ki dharak ab keh rahi hai
hai koi jis ke dil me hum rehtey hai
ye hum nahi hamari chahat keh rahi hai
***********************************
ye zuban pyar na karney ka keh rahi hey
par tarap usse baraney ka keh rahi hey
chaha ke rok loon jo kuch bhi horaha hey
par nahi rookta ye hamari chahat keh rahi hey
***********************************
dilo ki dharkan ab band honey ka keh rahi hai
mehboob se judayii ab khattam honey ka keh rahi hai
ayega kissi din kissi lamhey samney mere
yahi hai khuwish ye hamari chahat keh rahi hai
***********************************
gam tu hai thora ye bahar keh rahi hai
dar to hai thora ye takdeer keh rahi hai
par har dar se ab is pyar ko pana hai
nahi jina us ke bina ye hamari chahat keh rahi hai
***********************************
pyar me lela apney majnoo ki tareef ka keh rahi hai
pyar me heer apnay ranjha ki khuwish ka keh rahi hai
mana ke hai in ki dastanien bhi bohat barii
par hum inse agien hai ye hamari chahat keh rahi hai
***********************************
hum ko hamari yaar gussa na karney ka keh rahi hai
hum ko hamari yaar pyar karney ka keh rahi hai
par pyar to humhe bhi karna hai par izazat tu de
ye hum nahi hamari chahat keh rahi hai
***********************************
dhektey raho us ko pal pal ye ankh keh rahi hai
sochtey raho us ko har pal ye soch keh rahi hai
dil tu chahata hai lagalo galey se ussey
ye hum nahi hamari chahat keh rahi hai

No comments:

Post a Comment

The Dark Room ;-).


Get your own chat on spinchat.com!